Na Suno Mere Nale Hain Dard-bhare Dar-o-asare Aah-e-sahare
na suno mere nale hain dard-bhare dar-o-asare aah-e-sahare
tumhein kya jo koi marta hai mere ai dushman-e-jaan be-dad-gare
teri surmagin aankhon ke sadqe inhen chheD na panja-e-mizhgan se
abhi zaKHm-e-jigar hain tamam hare ai mahw-e-taghaful be-KHabare
liya ishq mein jog bhikari bane tere naqsh-e-qadam ke pujari bane
kabhi sajde kiye kabhi gird phire but sim-bare zarrin-kamre
jo tu ne hazaron wade kiye lekin wo kabhi ifa na hue
dil hi hain rahe arman mere ai wada-shikan but hila-gire
'bedam' kahen kya kis tarah rahe mar mar ke jiye ji ji ke mare
dar-manzil-e-ishqash dar-badare majnun-e-shorida-sare
(1084) Peoples Rate This