Na Kunisht O Kalisa Se Kaam Hamein Dar-e-dair Na Bait-e-haram Se Gharaz
na kunisht o kalisa se kaam hamein dar-e-dair na bait-e-haram se gharaz
ki azal se hamare sajdon ko rahi tere hi naqsh-e-qadam se gharaz
jo tu mahr hai to zarra hum hain tu bahr hai to qatra hum hain
tu surat hai hum aaina hamein tujh se gharaz tujhe hum se gharaz
na nashat-e-visal na hijr ka gham na KHayal-e-bahaar na KHauf-e-KHizan
na saqar ka KHatar hai na shauq-e-iram na sitam se hazar na karam se gharaz
rakha kucha-e-ishq mein jis ne qadam hua hazrat-e-ishq ka jis pe karam
use aap se bhi sarokar nahin jo gharaz hai to apne sanam se gharaz
teri yaad ho aur dil-e-bedam ho tera dard ho aur dil-e-bedam ho
'bedam' ko rahe tere gham se gharaz tere gham ko rahe 'bedam' se gharaz
(1817) Peoples Rate This