Mujhse Chhup Kar Mere Armanon Ko Barbaad Na Kar
mujh se chhup kar mere armanon ko barbaad na kar
dad-KHwahi ke liye aaya hun bedad na kar
dekh miT jaega hasti se guzar jaega
dil-e-na-aqebat-andesh unhen yaad na kar
aa gaya ab to mujhe lutf-e-asiri sayyaad
zabh kar Dal magar qaid se aazad na kar
jis pe marta hun use dekh to lun ji bhar ke
itni jaldi tu mere qatl mein jallad na kar
aap to zulm lagatar kiye jate hain
mujh se takid pe takid hai fariyaad na kar
jalwa dikhla ke mera luT liya sabr-o-qarar
phir ye kahte hain ki tu nala-o-fariyaad na kar
aap hi apni jafaon pe pasheman hain wo
un ko mahjub ziyaada dil-e-nashad na kar
ai saba kucha-e-jaanan mein paDa rahne de
KHak hum KHak-nashinon ki to barbaad na kar
hum to jab samjhen ki han dil pe hai qabu 'bedam'
wo tujhe bhul gae to bhi unhen yaad na kar
(1064) Peoples Rate This