Mein Ghash Mein Hun Mujhe Itna Nahin Hosh
mein ghash mein hun mujhe itna nahin hosh
tasawwur hai tera ya tu ham-aghosh
jo nalon ki kabhi wahshat ne Thani
pukara zabt bas KHamosh KHamosh
kise ho imtiyaz-e-jalwa-e-yar
hamein to aap hi apna nahin hosh
uTha rakkha hai ek tufan tu ne
are qatre tera allah-re josh
main aisi yaad ke qurban jaun
kiya jis ne do-alam ko faramosh
hai beganon se KHali KHalwat-e-raaz
chale jaen na ab aaen mere hosh
karo rindo gunah-e-mai-parasti
ki saqi hai ata-pash o KHata-posh
tere jalwe ko musa dekhte kya
naqab uThne se pahle uD gae hosh
karam bhi us ka mujh par hai sitam bhi
ki pahlu mein hai zalim aur ru-posh
piyo to KHum ke KHum pi jao 'bedam'
are mai-nosh ho tum ya bala-nosh
(1154) Peoples Rate This