Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_b8612c21343992ba61c11f1ff5924c70, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Khinchi Hai Tasawwur Mein Taswir-e-ham-aghoshi - Bedam Shah Warsi Poetry In English - Darsaal

Khinchi Hai Tasawwur Mein Taswir-e-ham-aghoshi

khinchi hai tasawwur mein taswir-e-ham-aghoshi

ab hosh na aane de mujh ko meri be-hoshi

pa jaana hai kho jaana kho jaana hai pa jaana

be-hoshi hai hushyari hushyari hai be-hoshi

main saz-e-haqiqat hun dam-saz-e-haqiqat hun

KHamoshi hai goyai goyai hai KHamoshi

asrar-e-mohabbat ka izhaar hai na-mumkin

TuTa hai na TuTega qufl-e-dar-e-KHamoshi

har dil mein tajalli hai un ke ruKH-e-raushan ki

KHurshid se hasil hai zarron ko ham-aghoshi

jo sunta hun sunta hun main apni KHamoshi se

jo kahti hai kahti hai mujh se meri KHamoshi

ye husn-faroshi ki dukan hai ya chilman

nazzara ka nazzara ruposhi ki ruposhi

yan KHak ka zarra bhi laghzish se nahin KHali

mai-KHana-e-duniya hai ya aalam-e-be-hoshi

han han mere isyan ka parda nahin khulne ka

han han teri rahmat ka hai kaam KHata-poshi

is parde mein poshida laila-e-do-alam hai

be-wajh nahin 'bedam' kabe ki siyah-poshi

(1798) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Khinchi Hai Tasawwur Mein Taswir-e-ham-aghoshi In English By Famous Poet Bedam Shah Warsi. Khinchi Hai Tasawwur Mein Taswir-e-ham-aghoshi is written by Bedam Shah Warsi. Read famous Poem Khinchi Hai Tasawwur Mein Taswir-e-ham-aghoshi for youth and Student by Bedam Shah Warsi. Free Download Khinchi Hai Tasawwur Mein Taswir-e-ham-aghoshi in PDF.