Ishq Ke Aasar Hain Phir Ghash Mujhe Aaya Dekho
ishq ke aasar hain phir ghash mujhe aaya dekho
phir koi rauzan-e-diwar se jhanka dekho
un ke milne ki tamanna mein miTa jata hun
nai duniya hai mere shauq ki duniya dekho
tur par hi nahin nazzara-e-jaanan mauquf
dekhna ho to wo maujud hai har ja dekho
asar-e-nala-e-ashiq nahin dekha tum ne
tham lo dil ko sambhal baiTho ab achchha dekho
taur majnun ki nigahon ke batate hain hamein
isi laila mein hai ek dusri laila dekho
partaw-e-mahr se mamur hai zarra zarra
lahren leta hai har ek qatre mein dariya dekho
dur ho jaen jo aankhon se hijabaat-e-dui
phir to dil hi mein do-alam ka tamasha dekho
sab mein DhunDa unhen aur ki to na ki dil mein talash
nazar-e-shauq kahan khai hai dhoka dekho
nahin thamte nahin thamte mere aansu 'bedam'
raaz-e-dil un pe hua jata hai ifsha dekho
(1275) Peoples Rate This