Hum Mai-kade Se Mar Ke Bhi Bahar Na Jaenge
hum mai-kade se mar ke bhi bahar na jaenge
mai-kash hamari KHak ke saghar banaenge
wo ek kahenge hum se to hum sau sunaenge
munh aaenge hamare to ab munh ki khaenge
kuchh chaarasazi nalon ne ki hijr mein meri
kuchh ashk mere dil ki lagi ko bujhaenge
wo misl-e-ashk uTh nahin sakta zamin se
jis ko huzur apni nazar se giraenge
jhonke nasim-e-subh ke aa aa ke hijr mein
ek din charagh-e-hasti-e-ashiq bujhaenge
sahra ki gard hogi kafan mujh gharib ka
uTh kar bagule mera janaza uThaenge
ab Than li hai dil mein ki sar jae ya rahe
jaise uThega bar-e-mohabbat uThaenge
gardish ne meri charKH ka chakra diya dimagh
nalon se ab zamin ke tabaq thartharaenge
'bedam' wo KHush nahin hain to achchha yunhi sahi
na-KHush hi ho ke ghair mera kya banaenge
(1398) Peoples Rate This