Halak-e-tegh-e-jafa Ya Shahid-e-naz Kare
halak-e-tegh-e-jafa ya shahid-e-naz kare
tera karam hai jise jaise sarfaraaz kare
har ek zarra hai aalam ka gosh-bar-awaz
to phir kahan pe koi guftugu-e-raaz kare
tajalliyan jise ghere hon tere jalwe ki
wo dair o kaba mein kya KHak imtiyaz kare
muhaal tark-e-KHayal-e-najat hai lekin
wo be-niyaz jise chahe be-niyaz kare
mere karim jo be-mange tujh se pata ho
wo ja ke kyun kahin dast-e-talab daraaz kare
ye husn-o-ishq ka hai ittihad-e-yak-rangi
wahi hai marzi-e-mahmud jo ayaz kare
banae zinda-e-jawed ya rakhe 'bedam'
mere sar aankhon pe jo kuchh nigah-e-naz kare
(1093) Peoples Rate This