Gul Ka Kiya Jo Chaak Gareban Bahaar Ne
gul ka kiya jo chaak gareban bahaar ne
dast-e-junun lage mere kapDe utarne
chhoDa kahin na mujh ko nasim-e-bahaar ne
kunj-e-qafas mein bhi mujhe aai ubhaarne
ab dil ki laj mashq-e-tasawwur ke hath hai
shisha mein us pari ko chala hai utarne
saqi to saqi baada-paraston ke panw par
sajde kirae laghzish-e-mastana-war ne
ab to nazar mein daulat-e-kaunain hech hai
jab tujh ko pa liya dil-e-ummid-war ne
chashm-e-ada-shanas ko hairan kar diya
husn apna zarre zarre mein dikhla ke yar ne
'bedam' tumhaari aankhen hain kya arsh ka charagh
raushan kiya hai naqsh-e-kaf-e-pa-e-yar ne
(1008) Peoples Rate This