But Bhi IsMein Rahte The Dil Yar Ka Bhi Kashana Tha
but bhi is mein rahte the dil yar ka bhi kashana tha
ek taraf kabe ke jalwe ek taraf but-KHana tha
dilbar hain ab dil ke malik ye bhi ek zamana hai
dil wale kahlate the hum wo bhi ek zamana tha
phul na the aaraish thi us mast-ada ki aamad par
hath mein Dali Dali ke ek halka sa paimana tha
hosh na tha be-hoshi thi be-hoshi mein phir hosh kahan
yaad rahi KHamoshi thi jo bhul gae afsana tha
dil mein wasl ke arman bhi the aur malal-e-furqat bhi
aabaadi ki aabaadi virane ka virana tha
uf-re baad-e-josh-e-jawani aankh na un ki uThti thi
mastana har ek ada thi har ishwa mastana tha
shama ke jalwe bhi ya-rab kya KHwab tha jalne walon ka
subh jo dekha mahfil mein parwana hi parwana tha
dekh ke wo taswir meri kuchh khoe hue se kahte hain
han han yaad to aata hai is shakl ka ek diwana tha
ghair ka shikwa kyunkar rahta dil mein jab ummiden thin
apna phir bhi apna tha begana phir begana tha
'bedam' is andaz se kal yun hum ne kahi apni biti
har ek ne samjha mahfil mein ye mera hi afsana tha
(1148) Peoples Rate This