Batae Deti Hai Be-puchhe Raaz Sab Dil Ke
batae deti hai be-puchhe raaz sab dil ke
nigah-e-shauq kisi ki nigah se mil ke
nikale hausle maqtal mein apne bismil ke
nisar tegh ke qurban aise qatil ke
main us pe sadqe jo jae kisi ki yaad mein jaan
kisi ko chahe main qurban jaun us dil ke
baDi adaon se li jaan apne kushte ki
hazar bar main qurban apne qatil ke
ghubar-e-qais nahin hai to kaun hai laila
koi to hai ki jo phirta hai gird mahmil ke
wo phuT bahne mein mashshaq hain ye rone mein
rahenge dab ke na aankhon se aable dil ke
mahaar-e-naqa-e-laila tu khinch le ai aah
haTa de dast-e-talab baDh ke parde mahmil ke
wo dil mein hain magar aankhon se dur hain 'bedam'
paDa hua hun main pyasa qarib sahil ke
(1125) Peoples Rate This