Allah-re Faiz Ek Jahan Mustafid Hai
allah-re faiz ek jahan mustafid hai
har mast mere pir-e-mughan ka murid hai
waiz abas ye zikr-e-azab-e-shadid hai
ek tauba qufl-e-rahmat-e-haq ki kalid hai
wahshat ne hum ko jama-e-KHaki pahna diya
ai aql ab ye kahe ki qat-o-burid hai
ai rah-rawan-e-jada-e-ulfat baDhe chalo
ye kis ne kah diya hai ki manzil baid hai
kyunkar na qurb-e-haq ki taraf dil mera kijiye
gardan asir-e-halqa-e-habl-ul-warid hai
ab jam-e-jam ki mujh ko zarurat nahin rahi
wo dil mila hai jis mein do-alam ki did hai
wallail hai ki zulf-e-moambar huzur ki
ye ru-e-pak hai ki kalam-e-majid hai
halki si ek KHarash hai qasid ke halq par
ye KHat jawab-e-KHat hai ki KHat ki rasid hai
KHanjar-ba-kaf wo kahte hain ab aae samne
kis ko KHayal-e-wasl hai arman-e-did hai
mujh KHasta-e-dil ki id ka kya puchhna huzur
jin ke gale se aap mile un ki id hai
to dekhe aur bande pe tere azab ho
ya-rab ye teri shan-e-karam se baid hai
shishe ka mo'taqid hai iradat hai jam se
kis pir-e-mai-farosh ka 'bedam' murid hai
(1389) Peoples Rate This