Agar Kaba Ka RuKH Bhi Jaanib-e-mai-KHana Ho Jae
agar kaba ka ruKH bhi jaanib-e-mai-KHana ho jae
to phir sajda meri har laghzish-e-mastana ho jae
wahi dil hai jo husn-o-ishq ka kashana ho jae
wo sar hai jo kisi ki tegh ka nazrana ho jae
ye achchhi parda-dari hai ye achchhi raazdari hai
ki jo aae tumhaari bazm mein diwana ho jae
mera sar kaT ke maqtal mein gire qatil ke qadmon par
dam-e-aKHir ada yun sajda-e-shukrana ho jae
teri sarkar mein laya hun Dali hasrat-e-dil ki
ajab kya hai mera manzur ye nazrana ho jae
shab-e-furqat ka jab kuchh tul kam hona nahin mumkin
to meri zindagi ka muKHtasar afsana ho jae
wo sajde jin se barson hum ne kabe ko sajaya hai
jo but-KHane ko mil jaen to phir but-KHana ho jae
kisi ki zulf bikhre aur bikhar kar dosh par aae
dil-e-sad-chaak uljhe aur ulajh kar shana ho jae
yahan hona na hona hai na hona ain hona hai
jise hona ho kuchh KHak-e-dar-e-jaanana ho jae
sahar tak sab ka hai anjam jal kar KHak ho jaana
bane mahfil mein koi shama ya parwana ho jae
wo mai de de jo pahle shibli o mansur ko di thi
to 'bedam' bhi nisar-e-murshid-e-mai-KHana ho jae
(4414) Peoples Rate This