Trahdar Kahan Se Laun
jhuT ki garmi-e-bazar kahan se laun
raqs-e-be-mani ki jhankar kahan se laun
DhunD ke hila-e-takzib barae-insaf
be-muhaba sar-e-darbar kahan se laun
be-KHabar ishq se hain aaj riya-kar shuyuKH
jazb-e-mansur sar-e-dar kahan se laun
bech kar chadar-e-zahra ko sajata firdaus
reshmi makr ki dastar kahan se laun
maut ki god mein hai aarif-o-dana ka wajud
dil-ruba fikr-e-sahar-kar kahan se laun
mein wo fankar hun iKHlas hai jis ka shahkar
makr-o-tarwiz ki guftar kahan se laun
KHanqahon mein bhi raij hai hawas ki tadris
ba-KHuda shaiKH-e-nigah-dar kahan se laun
maktab-e-nau ka moallim hai farangi baqqal
buzar-o-KHalid-o-karrar kahan se laun
ruh-e-tauhid ki qatil hai siyasi talim
sar-faroshan-e-wafadar kahan se laun
KHub waqif hun hadis-e-mai-o-mina se magar
aalam-e-hashr mein dildar kahan se laun
saz-e-fitrat pe ghazal-KHwan hai shuur-e-tanqid
kaghzi kakul-o-ruKHsar kahan se laun
shola-zan daman-e-giti hai to mazmun koi
jinsiyat-baKHsh trahdar kahan se laun
dil ka paimana hai zahrab-e-alam se labrez
bulbul-e-zamzama-asar kahan se laun
tazkire hain qad-o-gesu ke bahar-taur aziz
muflisi mein dil-e-gulbar kahan se laun
tishnagi sahab-e-nama ki bujhane walo
aabru-baKHta shahkar kahan se laun
arsa-e-dahr ka har zarra hai aatish-ba-kanar
ramish-o-rang ke ashaar kahan se laun
jannati hone ki mana ki sanad bikti hai
ganj-e-qarun ka ambar kahan se laun
zeb-e-tan waqt ka pairahan-e-shoala hai abhi
kaif-angez main afkar kahan se laun
KHair-agah mera fikr hai masruf-e-amal
bahs-o-takrar ki talwar kahan se laun
jaan paD sakti hai 'bebak' tan-e-murda mein
mard-e-'faruq' sa kirdar kahan se laun
(1315) Peoples Rate This