Naqsh Bar-diwar
mata-e-dard ko sahab shuur kho baiThe
sabaat-e-azm ko mard-e-ghuyur kho baiThe
nazar se mahw hai ummul-kitab ki tafsir
huzur mani-e-ghaib-o-zuhur kho baiThe
gaya jo hath se iman to tahayyur kya
wafur-e-aish mein taKHt-o-qusur kho baiThe
dil-o-dimagh se ruKHsat jihad ka jazba
sabil-e-haq ke zaruri umur kho baiThe
KHudi se baqi thi mazhab ki aabru thoDi
sharab-e-faqr ka husn-e-surur kho baiThe
gharib millat-e-masum ka KHuda-hafiz
faqih-e-shahr tadayyun ka nur kho baiThe
qulub zinda se afsos hashmi farzand
charagh ishq-e-ilahi ka nur kho baiThe
jahan mein kaise ho mearaj-e-zindagi hasil
yaqin ki ruh ko sadrussudur kho baiThe
hakim-o-arif-o-sufi hain naqsh bar-diwar
dil-o-dimagh se anwar-e-tur kho baiThe
zalil sahab-e-quran ho ye nahin mumkin
zarur husn-e-amal ko huzur kho baiThe
uwais o bu-zar o usman ke ata-karda
mazaq-e-faqr-e-mohammad zarur kho baiThe
KHulus-e-dil se thi 'bebak' shaeri raushan
payambari ke suKHnawar shuur kho baiThe
(963) Peoples Rate This