Sarir-e-KHama Se Tashrih-e-sirr-e-zi Hogi
sarir-e-KHama se tashrih-e-sirr-e-zi hogi
faza-e-sher mein iqlim-e-agahi hogi
jise karam se tere baKHt-e-na-rasa na mila
use nasib haqiqat mein kya KHushi hogi
faza-e-tira ki uqda-kusha hai jo tanwir
KHulus-e-dil ki wo pur-kar sadgi hogi
riyaz-e-mani ki jis se faza hai raKHshanda
alam-nasib ke dil ki wo shaeri hogi
haram ke KHak-nashinon se be-adab ijad
wufur-e-dard se paida qalandari hogi
lahu se dil ke charaghan karo KHuda-KHana
taDap jo ruh mein hogi to bandagi hogi
harim-e-naz ko surat-parast kya jaane
ada-shanas faqat dil ki be-KHudi hogi
(894) Peoples Rate This