Raunaq Farogh-e-dard Se Kuchh Anjuman Mein Hai
raunaq farogh-e-dard se kuchh anjuman mein hai
KHun-e-jigar gharib ka har bankpan mein hai
diwana zindagani ka deta hai yun subut
bahar lahad se hai kabhi KHunin kafan mein hai
dil ke lahu se ruh ki hoti hai parwarish
mearaj aagahi ki wafur-e-mehan mein hai
har bund nok-e-kilk ki deti hai dars-e-hosh
kaunain ka suragh bhi batn-e-suKHan mein hai
do yak nafas hai KHema-e-gul ka fareb-rang
ibrat-farosh KHar bhi sehn-e-chaman mein hai
aafaq-saz mazhab-e-isar phir se DhunD
ek lal-e-shab-charagh bhi taq-e-kuhan mein hai
yaro suKHan bara-e-suKHan mutlaqan abas
paigham-e-hast-o-bud kahin fikr-o-fan mein hai
iKHlas dil ka rahmat-e-bari se kar talab
raushan charagh-e-adl kahan anjuman mein hai
bu-zar ka faqr hazrat-e-faruq ka mizaj
asnam-saz qaum ke sheKH-e-zaman mein hai
sauda-gari se mana ki hasil hai kuchh waqar
saman-e-mufsidat bhi tazin-e-tan mein hai
asr-e-rawan ke log hain aawargi-pasand
fitna bhi hirs-o-az ka KHizr-e-zaman mein hai
shabnam se pankhuDi bhi sulagti hai phul ki
nairangi-e-KHizan bhi bahaar-e-chaman mein hai
faizan-e-irtiqa se janaza KHulus ka
KHair-ul-umam ke dosh pe shahr-e-zaman mein hai
jamhuriyat bhi turfa-tamasha ka kis qadar
lauh-o-qalam ki jaan yad-e-aharman mein hai
is iftira pe dijiye kuchh muftari ko dad
jannat agar kahin hai to mere watan mein hai
jaane kise nasib ho 'bebak' aagahi
naqid jadid daur ka taKHmin-o-zan mein hai
(995) Peoples Rate This