Raaz Hai Ibrat-asar Fitrat Ki Har Tahrir Ka
raaz hai ibrat-asar fitrat ki har tahrir ka
mushaf-e-natiq kahan muhtaj hi tafsir ka
mani-e-qadr-o-qaza hai nau-bahaar-e-lala-rang
har dil-e-zarra mein hai jazba nai tamir ka
hikmat-e-adam se hai raushan shabistan-e-jahan
nafs-e-maqsad hai huwaida KHaliq-e-taqdir ka
kawish-e-paiham se duniya ki faza jannat-ada
ye tasarruf hai bashar ki quwwat-e-tasKHir ka
daulat-e-kaunain musht-e-KHak ke daman mein hai
aadmi meamar hai aafaq ki taqdir ka
bahr-e-imka۔n mein habab-asa hai kashti-e-wajud
naqsh-e-fani har tamawwuj sail-e-afat-gir ka
paikar-e-KHaki jahan-e-maKHzan-e-asrar hai
aadmi shahkar hai allah ki taqdir ka
KHun se majbur ke dasht-e-jahan jannat-badosh
shiddat-e-mehnat se dilkash rang hai taswir ka
nala-e-bulbul se fasl-e-gul gareban chaak hai
ghuncha ghuncha said hai baad-e-sahar ke tir ka
maujzan hai qatra-e-shabnam mein sail-e-zindagi
zarra-e-kamtar hai mehwar mehr-e-pur-tanwir ka
iztirab-e-shauq mein dil hath se jata raha
ye asar hai ham-nashin taqrir-e-pur-tasir ka
nashtar-e-wahshat nafas mauj-e-nafas ki sar-kashi
aalam-e-tazir hai dozaKH meri taqsir ka
faqr par isar se hain mutmain ruh-o-zamir
dard-e-dil hai KHas maKHzan ishq ki jagir ka
zarre zarre se hai zahir shahid-e-har-do-jahan
aaina 'bebak' dil hai KHaliq-e-taqdir ka
(982) Peoples Rate This