Jigar-gudaz Maani Samajh Sako To Kahun
jigar-gudaz maani samajh sako to kahun
qaza-o-qadr-e-zamani samajh sako to kahun
wajud aaina-KHanon ka hai fana-anjam
qaza-e-charKH-e-dokhani samajh sako to kahun
jabin-e-waqt ki tahrir mein nihan kya hai
KHirad ki zahr-fishani samajh sako to kahun
qaza ki god mein hai hasraton ka gahwara
zaban-e-ramz-e-nihani samajh sako to kahun
bashar ke dida-e-dil par hijab-e-ghaflat hai
fareb-e-husn-o-jawani samajh sako to kahun
jahaz-e-umr na jaane ruke kahan ja kar
muhit-e-dil ki rawani samajh sako to kahun
KHuda ke baad bashar ka maqam azmat hai
tum apni kuchh bhi kahani samajh sako to kahun
KHizan-badosh chaman mein bahaar aai hai
nizam-e-alam-e-fani samajh sako to kahun
wo harf-e-raaz jo lab tak kisi ke aa na saka
hakim-e-raaz ki bani samajh sako to kahun
hayat-e-chand-nafas par tafaKHur-e-be-ja
har ek chiz hai fani samajh sako to kahun
muqamiran-e-bisat-e-hawas agar tum kuchh
hadis-faqr zabani samajh sako to kahun
safina aql ka 'bebak' gharq hai mutlaq
hai kitna zarf mein pani samajh sako to kahun
(1098) Peoples Rate This