Haq Pasandon Se Jahan Bar-sar-e-paikar Sahi
haq pasandon se jahan bar-sar-e-paikar sahi
kuchh dinon aur bhi ruswa sar-e-bazar sahi
KHun-e-masum se tamir hai bustan-e-wajud
ishrat-e-dahr se mahrum wafadar sahi
jehd-o-isar se raushan hai wafa ki qindil
dil-girafta haram-e-pak ka meamar sahi
mera iman hai elan-e-haqiqat karna
lakh mansur ki KHatir rasan-o-dar sahi
azm-e-rasiKH hai to har gam hai manzil ba-kanar
wahshat-asar siwa darra-e-dushwar sahi
aabla-pa se bujhate hi chalo tishna-labi
mumtahin jada-e-auqat ka har KHar sahi
baDh ke lena hai hamein jurat-e-isar se kaam
hail-e-rah-e-junud-e-gham-o-azar sahi
Dal do bahr-e-hawadis mein KHuda par kashti
na-KHuda dam-e-tawahhum mein giraftar sahi
rahbar jazba-e-sadiq dil-e-masum ka hai
har nafas zist ka ek manzil-e-dushwar sahi
sarfaroshan-e-watan aaj watan ki KHatir
ek gulzar ho tamir sar-e-dar sahi
husn-e-aKHlaq se 'bebak' raho sina-sipar
dast-e-aghyar mein shamshir-e-sharar-bar sahi
(1633) Peoples Rate This