Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_43dd01f4a18e22b864f90f99ee1c6fd2, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Gham-e-afaq Mein Aarif Agar KarwaT Badalta Hai - Bebak Bhojpuri Poetry In English - Darsaal

Gham-e-afaq Mein Aarif Agar KarwaT Badalta Hai

gham-e-afaq mein aarif agar karwaT badalta hai

syahi se qalam ki nur ka minar Dhalta hai

basirat ho to har zarra tajalli-zar-e-sina hai

nigah tarik ho to aaina zulmat ugalta hai

huzur-e-husn hoti hai kise dekhen pazirai

sada ibrat-asar dastur-e-haq din-raat chalta hai

KHuda-agah ka har har nafas dars-e-tayaqqun hai

haya-begana taKHribi hamesha chaal chalta hai

masaf-e-razm se hargiz na ja aaina-KHanon mein

KHuda ka sher-dil aafat ke qalib mein Dhalta hai

nigarish maqsad-e-taKHliq-e-barg-e-gul pe hai lekin

kise hai tab-e-nazzara charagh-e-tur jalta hai

KHulus-e-dil se banta hai hisar-e-nar bhi jannat

ba-fazl-e-haq zamin-e-shor se zamzam ubalta hai

mazaq-e-sarfaroshi KHanqahon se hua ruKHsat

magar talwar ki mehrab mein sar-baz palta hai

zamana mast-e-ishrat hai takalluf ke jahannam mein

haram ka pasban but-KHana-e-azar mein palta hai

luTa dete hain almas-o-guhar sahib-nazar hans kar

sitare Dubte hain to koi suraj nikalta hai

baDa dana hai diwana kahin Thokar nahin khata

andheri raat hai lekin diya to dil ka jalta hai

sadaqat se lahak jate hain tan-sazon ke but-KHane

ghazal ki aag se faulad ka paikar pighalta hai

tasarruf mein shabistan-e-jahan hai ishq-o-masti ke

zamana so chuka hai faqr ka jadu to chalta hai

bahut dushwar hai chalna siraat-e-din-e-fitrat par

KHuda ki justuju mein har nafas shoala ugalta hai

tumhaari azmat-e-dastar to taslim hai naseh

kaleja rah-e-haq mein sher mardon ka dahalta hai

ye KHatra hai na le Dube parastish tan ki murshid ko

charagh islam ka isar-o-qurbani se jalta hai

dil-e-nazuk pe harf aae na un 'bebak' maston ke

muqaddar jin ki Thokar se zamane ka badalta hai

(923) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gham-e-afaq Mein Aarif Agar KarwaT Badalta Hai In English By Famous Poet Bebak Bhojpuri. Gham-e-afaq Mein Aarif Agar KarwaT Badalta Hai is written by Bebak Bhojpuri. Read famous Poem Gham-e-afaq Mein Aarif Agar KarwaT Badalta Hai for youth and Student by Bebak Bhojpuri. Free Download Gham-e-afaq Mein Aarif Agar KarwaT Badalta Hai in PDF.