Fasl-e-bahaar Jaane Ye Kya Gul Katar Gai
fasl-e-bahaar jaane ye kya gul katar gai
saghar gulon ka KHun-e-anadil se bhar gai
gulzar-e-hast-e-bud mein aarif ki aagahi
auraq-e-gul pe surat-e-shabnam bikhar gai
hasil huzur-e-husn ki sar-mastiyan kahan
tahzib-e-asr lauT ke jaane kidhar gai
danishwaro wo ramz samajhne ki chiz thi
nazar-e-wafa-shiar KHata jo bhi kar gai
KHush-baKHt gharq bahr-e-takalluf mein ho gae
TuTe hue nasib ki kashti guzar gai
gulshan ke dida-war hi tah-e-dam aa gae
jadu jaga ke KHub nasim-e-sahar gai
shaistagi ne KHair ka putla bana diya
barq-e-fana bhi husn-e-ada pe Thahar gai
almas-o-lal bik gae mutlaq KHazaf ke mol
ab aabru-e-hikmat-e-sahab-hunar gai
saqi ko KHas masnad-e-gul par jo aai nind
sar-masti-e-sharab-e-gham-e-mo'atabar gai
itni thi ek nafas ke tabassum ke dastan
nazuk kali thi phul bani aur bikhar gai
yun to suKHan ki surat-e-mani thi dil-pazir
KHun-e-jigar se aur haqiqat nikhar gai
tai ho sake KHirad se na hasti ke marhale
nakaamiyon ki aah meri kaam kar gai
'bebak' be-kasi ke hai juz kaun dast-gir!
mauj-e-nafas hayat ki jaane kidhar gai
(922) Peoples Rate This