BaKHt Kya Jaane Bhala Ya Ki Bura Hota Hai
baKHt kya jaane bhala ya ki bura hota hai
kaif-o-gham zarf ke laeq hi ata hota hai
ye wo bazar-e-kashakash hai jahan par insan
hasb-e-taufiq KHaridar-e-haya hota hai
muddaton rahta hai jab aadmi zahmat-ba-kanar
raaz-e-sar-basta mahakat ka wa hota hai
dil hai dozaKH mein kuchh is tarah tabassum-bar-lab
jaise kanTon mein koi phul khila hota hai
be-talab rose ata karta hai kanTon ko lahu
kitna isar-pasand aabla-pa hota hai
sab ko pairahan-e-gul ki hai tamanna lekin
har nafas aish ka paigham-e-qaza hota hai
aatish-e-batn mein gal jate hain KHud-kaam shuyuKH
sahab-e-dard parastar-e-KHuda hota hai
teri rahmat se hai mahfuz anishshar banda
warna insan to taswir-e-KHata hota hai
pahlu-e-zarra mein pinhan hai jahan-e-mani
resha-e-sang mein aaina-sara hota hai
ain ghurbat mein nikharta hai KHudi ka jauhar
naKHl-e-ausaf lahu pi ke hara hota hai
sabr ki shaKH mein lagta hai wo miTha mewa
sab se duniya mein alag jis ka maza hota hai
hum faqiron ko sahaare ki zarurat kya hai
be sahaaron ka sahaara to KHuda hota hai
tera har sher hai 'bebak' amal ki dawat
ya koi musi-e-imran ka asa hota hai
(998) Peoples Rate This