BaDi Dil-shikan Hai Rah-e-safar Koi Ham-safar Hai Na Yar Hai
baDi dil-shikan hai rah-e-safar koi ham-safar hai na yar hai
ki jawan-asar hai tamam shai na sukun hai na qarar hai
zara tez-gam baDhe chalo hai faza-e-sahra musafiro
jahan aankh dil ki jhapak gai wahin zindagi ka mazar hai
na rumuz-e-ishq se ba-KHabar na mizaj-e-husn se aagahi
ye mazaq-e-ramish-o-rang bhi rah-e-rasti se farar hai
na kisi mein husn-e-haya raha na kisi mein bu-e-wafa rahi
abhi dosh-e-aql pe sar-basar koi dew-e-makr sawar hai
hai zamir-e-zinda ke waste to bisat-e-gul bhi tabah-kun
mere ham-jalis KHabar bhi hai yahi aastin ka mar hai
teri be-panah nawazishen teri be-hisab inayaten
meri rusiyahi-e-gunagun ka hisab hai na shumar hai
teri rahmaton se hai dur kab meri chaara-sazi-e-be-kasi
kisi gham-nasib ki dahr mein ye sada se KHas pukar hai
na kisi se adl ki baat kar na kisi se KHair ki rakh talab
ki mata-e-nur-e-sahar yahan shab-e-tira-e-tar pe nisar hai
teri pand KHair-asar nahin teri bandagi bhi ghalat-nigar
tera fikr naseh-e-mohtaram abhi muflisi ka shikar hai
(1022) Peoples Rate This