Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ceb201f37698a8641386f5eda249d2a6, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Subh Qayamat Aaegi Koi Na Kah Saka Ki Yun - Bayan Meeruti Poetry In English - Darsaal

Subh Qayamat Aaegi Koi Na Kah Saka Ki Yun

subh qayamat aaegi koi na kah saka ki yun

aae wo dar se na-gahan khole hue qaba ki yun

gauhar-e-nab-suda ko zulf mein mat dikha ki yun

meri kamand-e-shauq mein raat ke waqt aa ki yun

kyun ki jhuke nasim se soche thi nargis-e-chaman

dekh ke chashm-e-naz ko aane lagi haya ki yun

chahte the shuhud mein ghaib ka rang dekhna

meri zi-KHwesh-e-raftagi ban gai rahnuma ki yun

sahw thi waz-e-KHastan bistar-e-aish-e-wasl se

dekh ke un ki shoKHiyan fitna hua bapa ki yun

dida-e-ahl-e-ishq hai nur-e-nigah se tahi

aae wo farsh-e-naz par chhoD ke kafsh-e-pa ki yun

main ne kaha kanar-e-naz chahiye is ghamin se pur

sun ke raqib-e-zisht ko pas biTha liya ki yun

shoala-e-rashk-e-ghair se jal ke uThana jae tha

dur charagh-e-bazm ne uTh ke bata diya ki yun

KHun-e-shahid-e-ishq wo kahte the fash kaise ho

rang-e-gul-ezar se surKH hui hawa ki yun

us kaf-e-pa ke bose ki kab mujhe rah yaad thi

badraqa-e-talab hui jurat-e-sang-e-pa ki yun

rizq nahin hai bin talash kahti thi tangi-e-maash

gardish-e-sang-e-asiya dene lagi sada ki yun

us ke KHiram-e-shauq se pis gai KHalq kis rawish

miT gai baad-e-tund se surat-e-naqsh-e-pa ki yun

sai-e-tariq-e-shauq se fitne ko aagahi nahin

us ki jilau mein dauDe se saya barhana-pa ki yun

shab ko numu-e-rang se KHanda-e-gul ka zikr tha

nashw-o-numa-e-husn se TukDe hui qaba ki yun

nargis-e-mahwishan se puchh gardish-e-asman se puchh

surma hue wafa-sarisht kya kahen ai KHuda ki yun

san-e-gulshan-e-iram main ne kaha ki hae hae

dar pe us anjuman se dur qatl mujhe kiya ki yun

main ne kaha nasim se chaTke hai ghuncha kis tarah

kunj-e-dahan-e-tang se bose ne di sada ki yun

reKHta rashk-e-farsi us se na ho saka bayan

mahfil-e-urs-e-'mir' mein sher mere suna ki yun

(889) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Subh Qayamat Aaegi Koi Na Kah Saka Ki Yun In English By Famous Poet Bayan Meeruti. Subh Qayamat Aaegi Koi Na Kah Saka Ki Yun is written by Bayan Meeruti. Read famous Poem Subh Qayamat Aaegi Koi Na Kah Saka Ki Yun for youth and Student by Bayan Meeruti. Free Download Subh Qayamat Aaegi Koi Na Kah Saka Ki Yun in PDF.