Misl-e-hubab-e-bahr Na Itna Uchhal Ke Chal
misl-e-hubab-e-bahr na itna uchhal ke chal
hain sath sath mauj-e-hawadis sambhal ke chal
barg-e-KHizan-rasida se aati thi ye sada
is bagh-e-sabz par kaf-e-afsos mal ke chal
darpai nahang-e-marg hai darpesh chah-e-gor
masti na kar hawas mein aa mat machal ke chal
sote hain log tar hain kuche guzar hai tang
tarik shab hai sath charagh-e-amal ke chal
ai tan-parast jama-e-surat kasif hai
bazm-e-huzur-e-dost mein kapDe badal ke chal
aati hai zer-e-KHak se aawaz har qadam
uftadgan-e-rah ke sar mat kuchal ke chal
kab tak kasafaton mein rahega ba-rang-e-sard
aab-e-rawan ki tarah nikal aur nikal ke chal
jun shama tujh ko aatish-e-gham se gurez kyun
sar par dhari hai aag qadam tak pighal ke chal
jun naKHl-e-shama barq-e-tajalli gire kahin
daghon se aablon se 'bayan' phul phal ke chal
(871) Peoples Rate This