Lahu Tapka Kisi Ki Aarzu Se
lahu Tapka kisi ki aarzu se
hamari aarzu Tapki lahu se
ye hai kis ka soyam puchha adu se
ki dam hai nak mein phulon ki bu se
wo bachcha parwarish karti hai ulfat
jo paikan porwe ki tarah chuse
ye TuTegi hawa-e-gul se waiz
meri tauba ko kya nisbat wuzu se
use kahte hain qumri tauq-e-ulfat
chhuri lipTi hui hai yan gulo se
ye tasir-e-mohabbat hai ki Tapka
hamara KHun tumhaari guftugu se
wo hain kyun husn ke parda pe nazan
ye sikha hai hamari guftugu se
kiya hai daman-e-mahshar ko afshan
uDe chhinTe ye kis kis ke lahu se
suna hai jam tha jamshed ke pas
are saqi faqiron ke kadu se
wo sharmili nigahen kah rahi hain
haTa do aks ko bhi ru-ba-ru se
lab-e-gul-rang par hai KHal-e-mushkin
magas aur phul ki patti ko chuse
'bayan' KHauf-e-gunah se mar chuke the
magar jaan aa gai la-taqnatu se
(975) Peoples Rate This