KHak Karti Hai Ba-rang-e-charKH-e-nili-fam Raqs

KHak karti hai ba-rang-e-charKH-e-nili-fam raqs

har do-alam ko tera rakhta hai be-aram raqs

dekhiye piri ka haal aur dekhiye rish-e-safed

shaiKH sahab na-munasib hai ye be-hangam raqs

ablaq-e-chashm-e-butan ki shoKHiyan chakra gain

aasman par mehr-o-mah karte hain subh-o-sham raqs

ho haqiqi ya majazi ishq ki haalat na puchh

KHanqa mein mai hai aur mai-KHane mein badnam raqs

saumia mein wajh-e-sad-tahsin hua sufi ka haal

mai-kade mein aan kar kyun ho gaya badnam raqs

nargis-e-maKHmur-e-jaanan Dal deti gar nigah

mardum-e-chashm-e-butan ki tarah karta jam raqs

aashiqan abru-e-but ki hai taat iztirab

thi namaz ahl-e-haram jab tak na tha islam raqs

gird phirta hun jo is bar ke to waiz kya hua

tauf mein karta hai tu bhi bandh kar ehram raqs

bahr mein gardab hai aur dasht mein hai gard-baad

KHushk-o-tar mein hai teri shoKHi se ai gulfam raqs

shoKH ne barham nizam-e-mahfil-e-imkan kiya

KHak ne chheDa hai gardun ne liya hai tham raqs

paemal-e-gham pise jate hain surme ki tarah

le uDi kis ke qadam se gardish-e-ayyam raqs

teri shoKHi se teri raftar se ai rashk-e-bagh

chaukDi bhola hiran taus-e-gul-andam raqs

aish jawed un ko hasil hai jo hain teri taraf

taer-e-qibla-numa karta hai subh-o-sham raqs

(813) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHak Karti Hai Ba-rang-e-charKH-e-nili-fam Raqs In English By Famous Poet Bayan Meeruti. KHak Karti Hai Ba-rang-e-charKH-e-nili-fam Raqs is written by Bayan Meeruti. Read famous Poem KHak Karti Hai Ba-rang-e-charKH-e-nili-fam Raqs for youth and Student by Bayan Meeruti. Free Download KHak Karti Hai Ba-rang-e-charKH-e-nili-fam Raqs in PDF.