Charagh-e-husn Hai Raushan Kisi Ka
charagh-e-husn hai raushan kisi ka
hamara KHun hai roghan kisi ka
abhi nadan hain mahshar ke fitne
rahen thame hue daman kisi ka
dil aaya hai qayamat hai mera dil
uThe tazim de jauban kisi ka
ye mahshar aur ye mahshar ke fitne
kisi ki shoKHiyan bachpan kisi ka
adaen ta-abad bikhri paDi hain
azal mein phaT paDa jauban kisi ka
kiya talwar ne ghunghaT mere baad
na munh dekhegi ye dulhan kisi ka
hamari KHak mahshar tak uDi hai
na hath aaya magar daman kisi ka
bajae gul meri turbat pe hon KHar
ki uljhe gosha-e-daman kisi ka
'bayan' barq-e-bala chitwan kisi ki
dil-e-pur-arzu KHirman kisi ka
(700) Peoples Rate This