Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_8f2342e6b11045b0194cbac7558635eb, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Zulf Teri Ne Pareshan Kiya Ai Yar Mujhe - Bayan Ahsanullah Khan Poetry In English - Darsaal

Zulf Teri Ne Pareshan Kiya Ai Yar Mujhe

zulf teri ne pareshan kiya ai yar mujhe

teri aankhon ne kiya aap sa bimar mujhe

dil bujha jae hai aghyar ki shorish pe mera

sard karti hai teri garmi-e-bazar mujhe

aql hi maujib-e-taklif hui hai nadan

kar gai be-KHabari aa ke KHabar-dar mujhe

taKHt aur chhitr salatin ko mubarak howe

bas hai kuche mein tere saya-e-diwar mujhe

jun misal us ki numudar hui tun hi 'bayan'

tapish-e-dil ne kiya KHwab se bedar mujhe

(789) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zulf Teri Ne Pareshan Kiya Ai Yar Mujhe In English By Famous Poet Bayan Ahsanullah Khan. Zulf Teri Ne Pareshan Kiya Ai Yar Mujhe is written by Bayan Ahsanullah Khan. Read famous Poem Zulf Teri Ne Pareshan Kiya Ai Yar Mujhe for youth and Student by Bayan Ahsanullah Khan. Free Download Zulf Teri Ne Pareshan Kiya Ai Yar Mujhe in PDF.