Ye Aarzu Hai Ki Wo Nama-bar Se Le Kaghaz
ye aarzu hai ki wo nama-bar se le kaghaz
bala se phaD ke phir hath mein na le kaghaz
wo kaun din hai ki ghairon ko KHat nahin likhta
qalam ke ban ko lage aag aur jale kaghaz
tamam shahr mein tashhir mere bad-KHu ne
payam-bar ko kiya bandh kar gale kaghaz
baha dun aise kai daftar ashk ki rau mein
kiye hain jama are ghafilo bhale kaghaz
payam-bar mujhe aisa koi nahin milta
ki hila-ju se mere le hi kar Tale kaghaz
'bayan' ko zof hai itna ki baad-e-tund ke roz
jo KHat likhe to use le ke uD chale kaghaz
(795) Peoples Rate This