Raat Us Tunuk-mizaj Se Kuchh Baat BaDh Gai
raat us tunuk-mizaj se kuchh baat baDh gai
wo ruTh kar gaya to ghazab raat baDh gai
ye kahiyo ham-nashin mujhe kya kya na kah gae
main ghaT gaya na aap ki kuchh zat baDh gai
bose ke nam hi pe lage kaTne zaban
kitni amal se aage mukafat baDh gai
chashmon se mere shahr mein tufan-e-girya hai
nadan jaante hain ki barsat baDh gai
samjha tha main kamar hi talak zulf ka kamal
wo panw se bhi aage kai hat baDh gai
aghyar se nahin hai sarokar yar ko
mere ba-raghm un pe inayat baDh gai
be-tauriyon se us ki 'bayan' main to khinch raha
ghairon ki us ke sath mulaqat baDh gai
(882) Peoples Rate This