Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_886e6a716482bc16a8cd7926a3c98809, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kahta Hai Kaun Hijr Mujhe Subh O Sham Ho - Bayan Ahsanullah Khan Poetry In English - Darsaal

Kahta Hai Kaun Hijr Mujhe Subh O Sham Ho

kahta hai kaun hijr mujhe subh o sham ho

par wasl mein bhi lutf nahin jo mudam ho

shikwa kiya ho mere lab-e-zaKHm ne kabhu

to mujh pe aab-e-tegh ilahi haram ho

sahab tum apne munh ko chhupate ho mujh se kyun

hai us se kya hijab jo apna ghulam ho

munh lagne se raqib ke ab sar chaDhe hain sab

kar Dale us ko zabh abhi intizam ho

mat dard-e-dil ko puchh ba-qaul-e-'fughan' 'bayan'

ek umr chahiye mera qissa tamam ho

(687) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahta Hai Kaun Hijr Mujhe Subh O Sham Ho In English By Famous Poet Bayan Ahsanullah Khan. Kahta Hai Kaun Hijr Mujhe Subh O Sham Ho is written by Bayan Ahsanullah Khan. Read famous Poem Kahta Hai Kaun Hijr Mujhe Subh O Sham Ho for youth and Student by Bayan Ahsanullah Khan. Free Download Kahta Hai Kaun Hijr Mujhe Subh O Sham Ho in PDF.