Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_f675088fe7c6469060e3445e8eab2fda, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jo Zamin Par Faragh Rakhte Hain - Bayan Ahsanullah Khan Poetry In English - Darsaal

Jo Zamin Par Faragh Rakhte Hain

jo zamin par faragh rakhte hain

aasman par dimagh rakhte hain

saqi bhar bhar unhin ko de hai sharab

jo ki labrez ayagh rakhte hain

tere daghon ki daulat ai gul-ru

hum bhi sine mein bagh rakhte hain

hajat-e-shama kya hai turbat par

hum ki dil sa charagh rakhte hain

aap ko hum ne kho diya hai 'bayan'

aah kis ka suragh rakhte hain

(707) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Zamin Par Faragh Rakhte Hain In English By Famous Poet Bayan Ahsanullah Khan. Jo Zamin Par Faragh Rakhte Hain is written by Bayan Ahsanullah Khan. Read famous Poem Jo Zamin Par Faragh Rakhte Hain for youth and Student by Bayan Ahsanullah Khan. Free Download Jo Zamin Par Faragh Rakhte Hain in PDF.