Farhad Kis Ummid Pe Lata Hai Ju-e-shir
farhad kis ummid pe lata hai ju-e-shir
wan KHun ki hawas hai nahin aarzu-e-shir
hai us jawan ki baat mein ab to lahu ki bas
we din gae ki aati thi us munh se bu-e-shir
hote hi subh aah gaya mah-e-chaar-dah
sabit hua mujhe ki namak hai adu-e-shir
hasrat hi dil mein kohkan aaKHir ye le gaya
shirin ne apni aankhon bhi dekha na ru-e-shir
us dudh ka KHuda kare kasa hamein nasib
jannat mein panj-tan ki jo bahti hai ju-e-shir
aashiq hain apne KHun-e-jigar-KHwar zahr-nosh
raghbat taraf shakar ke hai un ko na su-e-shir
jin ko baghair sai wo shirin-dahan mile
kho den na koh wo na karen justuju-e-shir
milte hi us se dil ki girah mere khul gai
uqde shakar ke jaise khulen ru-ba-ru-e-shir
phir dudh ki buDhape mein aawe na munh se bas
aaKHir kahan talak ye 'bayan' guftugu-e-shir
(908) Peoples Rate This