Zabt-e-gham Kar Bhi Liya To Kya Kiya
zabt-e-gham kar bhi liya to kya kiya
dil ki rag rag se lahu Tapka kiya
har tajalli aap ki taswir thi
is liye main har taraf dekha kiya
gham ke shoale jaan tak sarkash hue
ishq soz-e-dil hi ko roya kiya
luT len sab husn ki KHuddariyan
ai nigah-e-wapsin ye kya kiya
tha tumhaare samne dil ko sukun
phir jo ghabraya to ghabraya kiya
sham-e-gham ki baDh gain tarikiyan
ai charagh-e-arzu ye kya kiya
kis se paiman-e-mohabbat bandhiye
kaun kis ka rasta dekha kiya
aap se ab kya kahen is ke siwa
aap ne jo kuchh kiya achchha kiya
hasil-e-gham bhi miTa kar rakh diya
ai gham-e-be-hasili ye kya kiya
tujh pe ye ilzam 'basit' kam nahin
pyar ki nazron se kyun dekha kiya
(912) Peoples Rate This