Un Ka Barbaad-e-karam Kahne Ke Qabil Ho Gaya
un ka barbaad-e-karam kahne ke qabil ho gaya
dard pahlu mein jahan bhi tha wahin dil ho gaya
barha dekha hai dil ne o mere mahw-e-KHiram
hashr uTTha aur tere qadmon mein shamil ho gaya
dil jahan uchhla faza-e-do-jahan par chha gaya
arsa-e-kaunain jab simTa mera dil ho gaya
be-KHabar rahna hi achchha is jahan-e-ghair mein
miT gaya jo waqif-e-adab-e-mahfil ho gaya
jo nigah-e-shauq uTThi husn ban kar rah gai
jo qadam hum ne uThaya naqsh-e-manzil ho gaya
ya kabhi manzil thi maqsud-e-mazaq-e-justuju
ya mazaq-e-justuju maqsud-e-manzil ho gaya
hae 'basit' ye mere KHun-e-tamanna ka asar
aur bhi rangin kuchh daman-e-qatil ho gaya
(799) Peoples Rate This