Sab Kaenat-e-husn Ka Hasil Liye Hue
sab kaenat-e-husn ka hasil liye hue
baiTha hun dil mein ishq ki mahfil liye hue
ek ek nazar farebi-e-sahil liye hue
har mauj samne hai mera dil liye hue
sarmaya-e-nashat gham-e-dil liye hue
hun yani kaif-e-ishq ka hasil liye hue
phir kashti-e-hayat hai girdab-e-gham ke sath
tufan-e-be-niyazi-e-sahil liye hue
ji chahta hai thak ke kahin baiTh jaiye
aaghosh-e-pa-e-shauq mein manzil liye hue
jab lutf hai ki main bhi rahun apne hosh mein
aao meri nigah mera dil liye hue
wo mast-o-mahw apne farogh-e-nashat mein
main mutmain hun dard bhara dil liye hue
ai qais-e-did apne hijabon se hoshiyar
har parda-e-nigah hai mahmil liye hue
mujh par bhi kuchh karam nigah-e-neshtar-nawaz
main bhi hun ek dard bhara dil liye hue
'basit' kisi jihat se na ho aashna magar
halka sa ek tasawwur-e-manzil liye hue
(842) Peoples Rate This