Mere Rone Par Kisi Ki Chashm Giryan Hae Hae
mere rone par kisi ki chashm giryan hae hae
wo gul-e-tar wo faza-e-shabnamistan hae hae
wo kisi ki yaad-e-paiham sham-e-hijran hae hae
har nafas waqf-e-nawa-ha-e-pareshan hae hae
dil pe dard-e-ishq ka ek ek ehsan hae hae
jaan ki surat mein koi dushman-e-jaan hae hae
subh-e-hijran bad-tar-az-shab-ha-e-hijran hae hae
zindagi ek mustaqil KHwab-e-pareshan hae hae
dil ki rahat ke liye un ki mohabbat ke liye
koshish-e-be-sud phirta hadd-e-imkan hae hae
meri KHatir aur wo majburiyon ka e'tiraf
un ke nazuk dil ko bhi ehsas-e-hijran hae hae
kaifiyat-e-sajda-e-zauq-e-mohabbat al-aman
kaba-e-dil be-niyaz-e-kufr-o-iman hae hae
wo mera kaif-e-nazar wo be-KHudi wo sarKHushi
fursat-e-nazzara-ha-e-husn-e-jaanan hae hae
un ki mahfil mein bhi hun daman-kash-e-wahshat-ba-dil
har jagah ek aalam-e-adab-e-zindan hae hae
yas ki maujon mein har manzar ka aaKHir Dubna
dil se wo uThta hua tufan-e-hirman hae hae
jo na samjhen dard kya hai dard ka ehsas kya
kab tak un ke waste 'basit' ghazal-KHwan hae hae
(916) Peoples Rate This