Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_aab5cd664c01262875242ed341cec9dc, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kuchh Sila Hi Na Mila Ishq Mein Jal Jaane Ka - Basit Bhopali Poetry In English - Darsaal

Kuchh Sila Hi Na Mila Ishq Mein Jal Jaane Ka

kuchh sila hi na mila ishq mein jal jaane ka

shama ne luT liya soz bhi parwane ka

zabt-e-fariyaad ki be-sud tawaqqo dil se

zarf kyun dekhiye TuTe hue paimane ka

mera miTna nahin aasan mohabbat ki qasam

maut hai nam tere dil se utar jaane ka

hashr tak roegi duniya-e-mohabbat mujh ko

silsila KHatm na hoga mere afsane ka

maut ki nind se insan ko jaga deti hai

jis haqiqat mein zara rang ho afsane ka

is tarah mujh se muKHatab hai zamana jaise

hosh ki fikr bhi ek farz ho diwane ka

un ke andaz-e-sitam ka hai taqaza 'basit'

ahd kar lijiye mar mar ke jiye jaane ka

(1061) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Sila Hi Na Mila Ishq Mein Jal Jaane Ka In English By Famous Poet Basit Bhopali. Kuchh Sila Hi Na Mila Ishq Mein Jal Jaane Ka is written by Basit Bhopali. Read famous Poem Kuchh Sila Hi Na Mila Ishq Mein Jal Jaane Ka for youth and Student by Basit Bhopali. Free Download Kuchh Sila Hi Na Mila Ishq Mein Jal Jaane Ka in PDF.