Koi Meayar-e-mohabbat Na Raha Mere Baad
koi meayar-e-mohabbat na raha mere baad
har taraf aam hain KHasan-e-wafa mere baad
silsila un ke sitam ka na raha mere baad
badla badla sa hai dastur-e-jafa mere baad
kaun pahnega gale mein teri ulfat ki kamand
kis ke sar hogi teri zulf-e-dota mere baad
hongi qurban tere ruKH pe nigahen kis ki
chand ho jaega haale se juda mere baad
sochta hun ki ba-in aalam-e-betabi-e-dil
kaun mangega mohabbat ki dua mere baad
dad chahenge meri tarah miTa kar kis ko
ishwa-o-ghamza-e-andaz-o-ada mere baad
Thokaren khati phiregi shab-e-yalda-e-firaq
KHun roegi har ek taza bala mere baad
suni suni si hai har mahfil-e-iza-e-talabi
jaise duniya mein koi gham na raha mere baad
KHira ho jati thi jis se nigah-e-sabr-o-qarar
un ke lab par wo tabassum na raha mere baad
kya KHabar thi ki main KHud sath na dunga apna
gosht ho jaega naKHun se juda mere baad
fitrat-e-husn ko hai aise sitam-kash ki talash
jo wafa par bhi kare uzr-e-KHata mere baad
zard kar dega use meri tabahi ka KHayal
rang laya bhi agar rang-e-hina mere baad
un ka diwana to kahlana hai mushkil 'basit'
koi diwana agar ban bhi gaya mere baad
(1046) Peoples Rate This