Kisi Ke Naqsh-e-qadam Ka Nishan Nahin Milta
kisi ke naqsh-e-qadam ka nishan nahin milta
wo rahguzar hun jise karwan nahin milta
qadam qadam pe teri rah mein falak hail
mujhe talash se bhi aasman nahin milta
unhen tariqa-e-lutf-o-karam nahin malum
hamein saliqa-e-ah-o-fughan nahin milta
urus-e-dahr ko ghaza bhi chahiye lekin
ghubar-e-jada-e-amn-o-aman nahin milta
tujhe ye gham ki KHushi ko teri sabaat nahin
mujhe gila ki gham-e-jawedan nahin milta
dhaDak raha hai har ahl-e-wafa ke sine mein
hamara dard bhara dil kahan nahin milta
sabhi ko dawa-e-mahr-o-wafa hai duniya mein
jo mehrban na ho wo mehrban nahin milta
gham-e-hayat ke pur-haul qahqahon ke siwa
kahin se apna jawab-e-fughan nahin milta
dil-e-shikasta ko le jaiye kahan 'basit'
dimagh-e-naKHwat-e-shisha-garan nahin milta
(1198) Peoples Rate This