Jaise Bhi Ye Duniya Hai Jo Kuchh Bhi Zamana Hai
jaise bhi ye duniya hai jo kuchh bhi zamana hai
sab teri kahani hai sab mera fasana hai
ek barq-e-siyah-masti ek shoala-e-mad-hoshi
mina se girana hai saghar se uThana hai
tum tak na pahunch jae lau sham-e-mohabbat ki
jab tur ko phunka tha ab dil ko jalana hai
mahdud-e-zaban kab tak afsana mohabbat ka
aankhon se bhi kahna hai dil se bhi sunana hai
allah re tanzim hairat-kada-e-hasti
dekho to haqiqat hai samjho to fasana hai
aahen bhi nahin ruktin nale bhi nahin thamte
aur un ko mohabbat ka afsana sunana hai
wo husn-e-mujassam hain hum ishq-e-mukammal hain
un ka bhi zamana hai apna bhi zamana hai
jalwe kahin chhupte hain nazren kahin rukti hain
parda na uThana bhi parda hi uThana hai
bulbul ki mohabbat se wo raaz rahe kab tak
kaliyon ki zaban par jo mubham sa fasana hai
tadbir bhi ye kah kar ruKHsat hui furqat mein
taqdir ki duniya hai qismat ka zamana hai
kuchh dard ke pahlu hain kuchh yas ki baaten hain
afsana mera kya hai rona hai rulana hai
nakaam mohabbat ki allah re majburi
jine ki nahin fursat marne ko zamana hai
kya qahr hai ai 'basit' ye tab-e-haya-parwar
un ki hi mohabbat hai un se hi chhupana hai
(897) Peoples Rate This