Ishq-e-sitam-parast Kya Husn-e-sitam-shiar Kya
ishq-e-sitam-parast kya husn-e-sitam-shiar kya
hum bhi unhin ke hain to phir apna bhi e'tibar kya
ishrat-e-zist ki qasam ishrat-e-mustaar kya
gham bhi jo mustaqil na ho gham ka bhi e'tibar kya
miTti hui hayat kya luTti hui bahaar kya
yani qarib-e-subh-e-gham shama ka e'tibar kya
yaad se un ki kaam rakh dard ka ehtimam rakh
maut bhi aa hi jaegi maut ka intizar kya
baDhti rahengi ta-ba-kai ahl-e-junun ki wahshaten
chhupte rahenge wo pas-e-aina-e-bahaar kya
qimat-e-kaenat kya un ki nigah-e-naz mein
fitna-e-hashr ke liye fitna-e-rozgar kya
rah-e-daraaz jabr hai kahte hain jis ko zindagi
rah-e-daraaz-e-jabr mein manzil-e-iKHtiyar kya
itna bhi intizar-e-dost hae ye e'tibar-e-dost
ai dil-e-be-qarar-e-dost dost pe iKHtiyar kya
ishq se sar-garan na ho husn se bad-guman na ho
jis ke liye KHizan na ho us ke liye bahaar kya
yaad mein teri pa liya main ne sukun-e-zindagi
ab teri yaad mein mujhe chain kya qarar kya
meri nazar se dekhiye apna jamal-e-be-misal
chashm-e-bahaar-saz mein aaina-e-bahaar kya
meri wafa wafa nahin un ki jafa jafa nahin
hae usi ka nam hai aalam-e-e'tibar kya
'basit'-e-figar ki yaad bhi kya na aaegi
ab na sunenge ham-watan nala-e-be-qarar kya
(1383) Peoples Rate This