Hayat-o-maut Ka Ek Silsila Hai
hayat-o-maut ka ek silsila hai
mohabbat intiha tak ibtida hai
main kya jaanun ki bab-e-tauba kya hai
abhi to mai-kade ka dar khula hai
zara phir dil pe nazren Dal dije
charagh-e-arzu KHamosh sa hai
ata kar di tumhaari aarzu ne
wo ek duniya jo duniya se juda hai
hasin hon lakh duniya ke manazir
wo kya dekhe jo tum ko dekhta hai
nazar ke sath nazzara bhi gum hai
dil-e-muztar ye kis ka samna hai
mere dil ko na rakh be-rang saqi
ki har saghar gulabi ho raha hai
na dozaKH hai na jannat hai to 'basit'
mere aamal-e-gham ka kya sila hai
(934) Peoples Rate This