Har Taraf Soz Ka Andaz Judagana Hai
har taraf soz ka andaz judagana hai
mutmain shama hai ya raqs mein parwana hai
bartar-az-wahm-o-tasawwur mera mai-KHana hai
zindagi kya hai meri laghzish-e-mastana hai
wo jo ek shauq-e-junun-saz ka afsana hai
aankh shayad kahe dil to abhi diwana hai
hosh aaya na kabhi main ne junun ko samjha
dawar-e-hashr yahin tak mera afsana hai
ab nigah un ki nigahon se mile ya na mile
KHud hi pahunchega jo taqdir ka paimana hai
aap sun len to kuchh aa jae asar bhi shayad
yun to har tarah mukammal mera afsana hai
husn ek phul sahi nazuk-o-rangin lekin
ishq se dur hai jab tak gul-e-virana hai
kasrat-e-fahm ne itna bhi samajhne na diya
main hun afsana ki duniya mera afsana hai
ai KHusha tala-e-bedar-e-mohabbat 'basit'
aaj un ki bhi nazar mein mera afsana hai
(848) Peoples Rate This