Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_eacbeed41dc23a3a0645d050e584dcc6, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Qarar Pate Hain AaKHir Hum Apni Apni Jagah - Basir Sultan Kazmi Poetry In English - Darsaal

Qarar Pate Hain AaKHir Hum Apni Apni Jagah

qarar pate hain aaKHir hum apni apni jagah

ziyaada rah nahin sakta koi kisi ki jagah

banani paDti hai har shaKHs ko jagah apni

mile agarche ba-zahir bani-banai jagah

hain apni apni jagah mutmain jahan sab log

tasawwuraat mein mere hai ek aisi jagah

gila bhi tujh se bahut hai magar mohabbat bhi

wo baat apni jagah hai ye baat apni jagah

kiye hue hai faramosh tu jise 'basir'

wahi hai asl mein tera maqam teri jagah

(983) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qarar Pate Hain AaKHir Hum Apni Apni Jagah In English By Famous Poet Basir Sultan Kazmi. Qarar Pate Hain AaKHir Hum Apni Apni Jagah is written by Basir Sultan Kazmi. Read famous Poem Qarar Pate Hain AaKHir Hum Apni Apni Jagah for youth and Student by Basir Sultan Kazmi. Free Download Qarar Pate Hain AaKHir Hum Apni Apni Jagah in PDF.