Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_515a42213e3a7bb75751121c2a82eba8, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hote Hain Jo Sab Ke Wo Kisi Ke Nahin Hote - Basir Sultan Kazmi Poetry In English - Darsaal

Hote Hain Jo Sab Ke Wo Kisi Ke Nahin Hote

hote hain jo sab ke wo kisi ke nahin hote

auron ke to kya honge wo apne nahin hote

mil un se kabhi jagte hain jin ke muqaddar

teri tarah har waqt wo soe nahin hote

din mein jo phira karte hain hushiyar o KHabar-dar

wo meri tarah raat ko jage nahin hote

hum un ki taraf se kabhi hote nahin ghafil

rishte wahi pakke hain jo pakke nahin hote

aghyar ne muddat se jo roke hue the kaam

ab hum bhi ye dekhenge wo kaise nahin hote

nakaami ki surat mein mile tana-e-na-yafat

ab kaam mere itne bhi kachche nahin hote

shab ahl-e-hawas aise pareshan the 'basir'

jaise mah-o-anjum kabhi dekhe nahin hote

(3436) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hote Hain Jo Sab Ke Wo Kisi Ke Nahin Hote In English By Famous Poet Basir Sultan Kazmi. Hote Hain Jo Sab Ke Wo Kisi Ke Nahin Hote is written by Basir Sultan Kazmi. Read famous Poem Hote Hain Jo Sab Ke Wo Kisi Ke Nahin Hote for youth and Student by Basir Sultan Kazmi. Free Download Hote Hain Jo Sab Ke Wo Kisi Ke Nahin Hote in PDF.