Wo Apne Matlab Ki Kah Rahe Hain Zaban Par Go Hai Baat Meri

wo apne matlab ki kah rahe hain zaban par go hai baat meri

hai chit bhi un ki hai paT bhi un ki hai jit un ki hai mat meri

kabhi wo milta hai dushmanon se kabhi wo milta hai mujh se aa kar

jo din hai mera to raat un ki jo din hai un ka to raat meri

kabhi hai tola kabhi hai masha kabhi hain na-KHush kabhi hain wo KHush

qarar un ko nahin hai dam-bhar hai tak un ki to ghat meri

ye baat kya hai ye majra kya ye raaz kya hai ye waqia kya

ki han mein han sab mila rahe hain wo kar rahe hain sifat meri

irada hai main likhun fasana kisi ki kuchh dil-shikastagi ka

qalam shikasta paDa kidhar hai kahan hai koi dawat meri

idhar bani hai dil-e-hazin par udhar to sargarm-e-naz hain wo

koi ye aa kar tamasha dekhe ada hai un ki mamat meri

ye ho raha hai tamasha kaisa idhar to gham hai udhar hai shadi

kabhi uThega janaza mera kabhi saji thi baraat meri

(797) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Apne Matlab Ki Kah Rahe Hain Zaban Par Go Hai Baat Meri In English By Famous Poet Bashiruddin Ahmad Dehlvi. Wo Apne Matlab Ki Kah Rahe Hain Zaban Par Go Hai Baat Meri is written by Bashiruddin Ahmad Dehlvi. Read famous Poem Wo Apne Matlab Ki Kah Rahe Hain Zaban Par Go Hai Baat Meri for youth and Student by Bashiruddin Ahmad Dehlvi. Free Download Wo Apne Matlab Ki Kah Rahe Hain Zaban Par Go Hai Baat Meri in PDF.