Kaun Kahta Hai Nasim-e-sahari Aati Hai
kaun kahta hai nasim-e-sahari aati hai
nikhat-e-gul mein basi ek pari aati hai
shauq se zulm karo shauq se do tum aazar
ye samajh lo mujhe bhi nauhagari aati hai
koi kahta hai ki aata hai dukhana dil ka
koi kahta hai tumhein chaaragari aati hai
dard-e-ulfat ko baDha kar wo ghaTa dete hain
chaak dil kyun na karen baKHiya-gari aati hai
jhuT se mujh ko na matlab na banawaT se kaam
baat jo aati hai munh par wo khari aati hai
zor se sans jo leta hun to akasr shab-e-gham
dil ki aawaz ajab dard bhari aati hai
dast-e-wahshat ka mere shughl wo kya puchhte hain
kuchh nahin aata faqat jama-dari aati hai
kaam karne ke saliqe se hum aagah nahin
aur kya aata hai bas be-hunari aati hai
dil-e-pazhmurda khila jata hai kyun aaj bashir
aa gai hai koi ya KHush-KHabari aati hai
(753) Peoples Rate This